Aaj Ka Hindustan- A Poem !

Read this wonderful poem somewhere !

Kalyug ke iss kaal me dekho
manav kaise lachaar ban gaya
kutil gyan ko khareed bechkar
manavta aaj vayapaar ban gaya.

15 august ko ghar me sote logo ka
14 February aaj tayohaar ban gaya
koi doctor engineer koi magistrate
padh likh kar koi berozgar ban gaya.

Kashmir par nazar dalo to dikhta
kaisa desh ka shingaar ban gaya
bolo Bharat ke murkh logo tum sab
kaise dusto ka sarkar ban gaya.

Rozana tv aur akhbaar me dekho
surkhio me sirf balatkar ban gaya
khulkar manav manav ko bech raha
kaise dahej lena adhikaar ban gaya.

Seena taan sadak par daku chalta
kyu Sadhu ka jina dushwaar ho gaya
aur Mandir ke daan peti par dekho
kaha paisa raato-raat paar ho gaya.

Iss bhumi par janme kayi mahapurush
koi Chandragupta koi Pratap ban gaya
kya bhul gaye ki Prithviraj ne kaise
sur hokar bhi Ghori ka kaal ban gaya.

Firangio sang jab chhidi ladayi tab
Bhagat Tilak to koi Subhas ban gaya
yaad humein wo arpan amar jawani
kurban hokar jo Azad ban gaya.

Jara aaj ki samajeek halat to dekhiye
kan kan kaisa ye pura jahan ban gaya
‘Ram Krishn Govind Gautam ki bhoomi’
kaisa mera ‘aaj Hindustan’ ban gaya.


Comments