Batao Kare to Kare Kya ?

Haan haan yaadon mein hai ab bhi,
Kya surila wo jahan tha,
Hamare haathon mein rangeen gubaare the,
Aur dil mein mehekta sama tha,
Wo to khwabo ki thi duniya,
Wo kitabo ki thi duniya,
Saas mein the machalte hue zaljale,
Aankh mein wo suhana nasha tha,
Wo zameen thi, aasmaan tha,
Hum ko lekin kya pata tha,
Hum khade the jahan par,
Ussi ke kinaare pe gehra sa andha kua tha

Phir wo aaye bheed ban kar,
Haath mein the unke khanjhar,
Bole phenko yeh kitaabe,
Aur sambhalo yeh salakhein,
Jo gehra sa kua hai, haan haan andha to nahi hai,
Iss kue mein hai khazana, kal ki duniya to yahi hai,
Kud jao leke khanjhar , kaat daalo jo ho andar,
Tum hi kal ke ho shivaji, tum hi kal ke ho sikander,
Humne wo hi kiya jo uhone kaha,
Kyunki unki to khawahish yahi thi,
Hum nahi jaante yeh bhi kyu yeh kiya?
Kyunki unki farmaaish yahi thi,
Ab hamare laga zaayka khoon ka,
Ab batao kare to kare kya?
Nahi hai koi jo hume kuch bataye,
Batao kare to kare kya?

************** Silence *************

Comments