Main Paishawar Faraibi Hoon, Mohabbat Kar Nahi Sakta


Irada Roz Karta Hoon , Magar Kuch Kar Nahi Sakta 
Main Paishawar Faraibi Hoon , Mohabbat Kar Nahi Sakta 

Bure Hon Ya K Ache Hon , Mujhe Is Se Nahi Matlab 
Mujhe Matlab Say Matlab Hai , Main Tum Se Ladd Nahi Sakta 

Yahan Har Doosra Insaan Khuda Khud Ko Kehta Hai 
Khuda Bhi Wo Ke Jo Apni He Jholi Bhar Nahi Sakta 

Main Tum Se Saaf Kehta Hoon ! Mujhe Tum Say Nahi Ulfat 
Faqat Lafzi Mohabbat Hai Main Tum Pe Mar Nahi Sakta 

Mohabbat Ki Musafat Ne Bahut Zakhmi Kiya Mujh Ko 
Abhi Yeh Zakhm Bharne Hain, Main Aahen Bhar Nahi Sakta 

Bhale Main Ne Nahi Chaha , Magar Tum Ne To Chaha Hai 
Tumhari Yaad Ko Dil Se To Baahir Kar Nahi Sakta 

Naa jaanay Aadmi Kyon Aadmi Se Khauf Khata Hai 
Jo Apnay Rab Se Darta Ho Kisi Se Dar Nahi Sakta 

Aray Oh Ishq !!! Chal Jaa Kam Kar , Kis Ko Bulata Hai ? 
Husn Bazar Main Bikta Hai , Sooli Charh Nahi Sakta 

Yahan Har Aik Chehray Par Alag Tehreer Likhi Hay 
Meri Aankhon Main Aansoo Hain , Abhi Kuch Padh Nahi Sakta 

Main Apni Raat Ki Zulfon Main Khud Chaandi Sajata Hoon 
Main Uski Maang Main Waadon Ke Heeray Jarr Nahi Sakta 

Bhale Jhoota , Munafiq Hoon , Bht Dhokay Diya Lekin
Mera Kuch Waqt Baki Hai , Zameen Mein Garh Nahi Sakta

Main Us Ghar Ka Muqeemi Hoon Jisay Oqat Kehte Hain 
Main Apni Had Main Rehta Hoon So Aage Badh Nahi Sakta

Abhi Kuch Sher Rehte Hain Magar Likhne Nahi Hargiz 
Kisi Ki Laaj Rakhni Hai , So Zahir Kar Nahi Sakta

~Ali Sarmad



Comments

Post a Comment